Aankhon Ki Gustakhiyan Song Lyrics – Hum Dil De Chuke Sanam

Aankhon ki gustakhiyan maaf ho
O aankhon ki gustakhiyan maaf ho
Ek tuk tumhe dekhati hain
Jo baat kehna chahe juban
Tumse yeh woh kehati hain

Aankhon ki sharmohaya maaf ho
Tumhe dekhke jhukati hain
Uthi aankhen jo baat naa keh saki
Jhuki aankhen woh kehati hain

Aankhon ki,
Aankhon ki gustakhiyan maaf ho

Kajal kaa ek til tumhare labon pe laga lu la la la…..
Haan chanda aur suraj ki najaron se tumko bacha lu hmmm….
Oh palkon ki chilman mein aao main tumko chhupa lu aa….
Khayalo ki yeh shokhiyan maaf ho
Har dam tumhe sochati hain
Jab hosh mein hota hai jahan
Madhosh yeh karati hain

Aankhon ki sharmohaya maaf ho

Yeh zindagi aapki hi amanat rahegi, ay hey
Dil mein sada aapki hi mohabbat rahegi, ay hey
Inn sanson ko aapki hi jaroorat rahegi
Ho iss dil ki nadaniyan maaf ho
Yeh meri kahan sunati hain
Yeh pal pal jo hote hain bekal sanam
Toh sapne naye bunati hain

Aankho ki,
Aankho ki gustakhiyan maaf ho
Sharmohaya maaf ho