Bolo Har Har Har Lyrics – Badshah – Shivaay (Title Track)

Aag bahe teri rag mein,
Tujhsa kahan koi jag mein,
Hai waqt ka tu hi toh pehla peher,
Tu ankh jo khole toh dhaaye keher,

(Pramaarag bharpe,
Pramaarag bharpe),
Toh bolo har har har,
(Pramaarag bharpe mahadev,
Pranaarag bharpe),
Toh bolo har har har,

Badshah Rap:

Aadi na antt hai uska,
Woh sabka na inka unka,
Wohi hai mala wohi hai manka,
Mast malang woh apni dhun ka,

Jantar mantra tantra gyaani,
Hai sarvagya swabhimani,
Nirjanchar hai maha vinashak,
Omkar hai isi ki vaani,
(Isi ki isi ki isi ki vaani,
Isi ki isi ki isi ki vaani),

Bhang dhatura beil ka patta,
Teeno lok isiki satta,
Vish pi kar bhi adeeg amar hai,
Mahadev har har hai japta..(japta..),

Wohi shunya hai wohi ikaaye,
Wohi shunya hai wohi ikaaye,
Wohi shunya hai wohi ikaaye,
Jiske bhitar basa shivaay,

Aghoranna paro mantra,
Nasti tatwam guro param,

Nagendra haraya Trilochanaya,
Basmanga ragaya maheswaraya,
Nithyaya shudhaya digambaraya,
Tasmai nakaraya Namashivaya..,

Shivam rakhtramam,
Shivam paahimam,
Shivam trahimam,
Shivam rakshmam,

Shivam paahimam,
Shivam trahimam,
Mahadev ji,
Pam paahimam sharnagatam,
Twam paahimam,
Pam rakshmam shiv paahimam shiv,

Aankh moond kar dekh raha hai,
Saath samay ke khel raha hai,
Mahadev mahaikaaki,
Jiske liye jagat hai jhanki,

Jatta mein ganga chand mukut hai,
Soumya kabhi kabhi bada vikat hai,
Aag se janma hai kaislashi,
Shakti jiski daras ki pyaasi,
Hai pyaasi haan pyaasi,

Ram bhi uska ravan uska,
Jeevan uska maran bhi uska,
Tandav hai aur dhyan bhi woh hai,
Agyaani ka gyan bhi woh hai,

Aankh teesri jab ye khole,
Hile dhara aur swarg bhi dole,
Goonj uthe har disha shitij mein,
Naad ussi ka bam bam bole..(bole..),

Wohi shunya hai wohi ikaaye,
Wohi shunya hai wohi ikaaye,
Wohi shunya hai wohi ikaaye,
Jiske bhitar basa shivaay,

Toh bolo har har har,

Ja ja kailash ja kar vinaash,
Ja ja kailash ja kar vinaash,
Ja ja kailash ja kar vinaash,
Ja ja kailash ja sarvanaash,
Toh bolo har har har,(x2)

Yaksha swaroopaya jatta dharaya,
Pinaka hasthathaya sanathanaya,
Divyaya devaaya digambaraya,
Tasmai yakaraya namashivaya,