Buddhu Sa Mann Lyrics – Kapoor and Sons | Armaan Malik, Amaal Mallik

Dabi dabi si hasi
Honthon pe phansi hai
Gugudi kar rahi hawa
Oo halla macha rahi hai
Pagal si khwaishein
Khushiyon ki mili hai wajah

Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh
Buddhu sa mann hai

Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh
Buddhu sa mann hai

Karne de khwaabon ko badmashiyaan
Chalne de nazron ki manmaniyan
Dhundhe chalo kuch thikaane naye
Hone de pagli pagli si nadaaniyan

Hosh mein rehna hai kyun
Rehne se hoga kya
Behoshiyon mein hai maza
Oo bachkaani harkatein
Jo hoti hain hone de
Khushiyon ki mili hai waja

Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh
Buddhu sa mann hai

Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh
Buddhu sa mann hai

Na na ye Na na oo..

Mausam ne bhi ki hai kuch koshishein
Hone lagi dekho ye baarishein
Sar pe chadha hai yeh kaisa asar
Daude raftaar mein dil ki sab dhadkane

Dhun koi chal rahi hai
Kaano mein dheeme se
Roshan hai zyaada yeh subah
Oo hulchal jo ho rahi hai
Seene mein hone de
Khushiyon ki mili hai wajah

Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh
Buddhu sa mann hai

Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh
Buddhu sa mann hai