Chalo Sajna Jahan Tak Ghata Lyrics – Mere Humdum Mere Dost

Chalo sajna, jahan tak ghata chale
Chalo sajna, jahan tak ghata chale
Lagaakar mujhe gale
Chalo sajna, jahan tak ghata chale
Chalo sajna, jahan tak ghata chale

Sundar sapano ki hai manjil kadam ke neeche
Sundar sapano ki hai manjil kadam ke neeche
Furasat kis ko itani, dekhe jo mud ke peechhe
Tum chalo, hum chale, hum chale tum chalo
Saawan kee hawaa chale
Chalo sajna, jahan tak ghata chale

Dhadakan tumhre dil ki ulajhi humari lat mein
Dhadakan tumhre dil ki ulajhi humari lat mein
Tumhre tan ki chaya, kaajal bani palak mein
Yek hain do badan do badan yek hain,
Aanchal ke tale chale
Chalo sajna, jahan tak ghata chale

Patharili raahon mein, tum sang main zoom loongi
Patharili raahon mein, tum sang main zoom loongi
Khaoge jab thokar hothon se choom loongi
Pyaar kaa aaj se, aaj se pyaar kaa
Hum se silasilaa chale
Chalo sajna, jahan tak ghata chale
Lagaakar mujhe gale
Chalo sajna, jahan tak
jahan tak ghata chale
Chalo sajna, jahan tak ghata chale