Chashme Buddoor – Parody Song Lyrics | Deepti Naval, Ravi Baswani

karna tha inkar, magar ikarar
tum hi se kar baithe
na na karte pyar tum hi se kar baithe

pyar kiya koi chori nahi ki
chhup chhhup aahe bharna kya
jab pyar kiya to darna kiya
pyar kiya to darna kiya
jab pyar kiya to darna kiya
pyar kiya to darna kiya
jab pyar kiya to darna kiya

hum chhod chale hai mehfil ko
yaad aaye kabhi to mat rona
is dil ko tasalli de lena
ghabraye kabhi to mat rona
hum chhod chale hai mehfil ko

na jaao saiya chhuda ke baiya
kasam tumhari main ro padungi
ro padungi

shisha ho ya dil ho
aakhir tut jata hai
tut jata hai, tut jata hai
tut jata hai

aa aa aaja aa aa aaja
aa aa aaja aa aa aaja
aa aa aaja

tumne pukara aur hum chale aaye
dil hatheli par le aaye re
tumne pukara aur hum chale aaye

aap jaisa koi meri zindagi me aaye
to baat ban jaye
ha ha baat ban jaye
aap jaisa koi

chhod do aanchal zamana kya kahega
o chhod do aanchal zamana kya kahega
ha ha in adao ka zamana bhi hai diwana
diwana kya kahega
o chhod do aanchal zamana kya kahega

logo na maaro ise
yahi to mera dildar hai

ab chahe sar fute ya maatha
maine teri baah pakad li
ab chahe sar fute ya maatha
maine teri baah pakad li

hum tum yug yug se
ye geet milan ke gaate rahe hai
gaate rahenge
hum tum jag me jivan sathi banke
aate rahe hai, aate rahenge
hum tum