Chhod De Saari Duniya Song Lyrics – Saraswatichandra

Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuch nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye

Tan se tan kaa milan ho na paya to kyaa
Man se mann kaa milan koyi kam to nahin
Man se mann kaa milan koyi kam to nahin
Khushboo aati rahe door hi se sahi
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Chaand milta nahin sabko sansaar mein
Chaand milta nahin sabko sansaar mein
Hai diya hi bahut roshni ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye

Kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhen
Kyun baharon ko phir se bulate nahin
Kyun baharon ko phir se bulate nahin
Ek duniya ujad hi gayi hai to kya
Doosra tum jahan kyun basate nahin
Doosra tum jahan kyun basate nahin
Dil na chahe bhi to, saath sansaar ke
Dil na chahe bhi to, saath sansaar ke
Chalna padta hai sab ki khushi ke liye

Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuch nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye