Galatfahmiya Lyrics – Mohit Gaur

Jaane kyun mujhse khafa hai tu,
Wajib si koi wajah de,
Pehle gunah toh bata mera,
Phir chahe koi saza de,

Kuch haal tha dil ka bura,
Kuch ho gayin dooriyan,
Bas kar gayi humko judaa,

Galatfahmiya,(x4)

Kyun hai tere aur mere darmiyan,

Galatfahmiyan,(x4)

Nazdeekiyan sabhi yaad kar,
Jab bazuon mein thi raat bhar,
Hasin kitni har mulaqat thi,
Hai berukhi yeh kis baat par,

Ab ho gaye halaat yun,
Chehre kya dil bhi huye ajnabi,
Keh na sake humse kabhi,
Aisi bhi kya thi majbooriyan,
Jo kar gayi humko judaa,

Galatfahmiya,(x4)

Dekha palat kar bata kyun nahi,
Aawaz mudke di maine kahin,
Jis raah pe hum juda the hue,
Aankhein rukin hain wahin aaj bhi,

Kabhi pass itne the tum aur main,
Kyun woh jagah hai daraaron mein hi,
Main har ghadi yeh sochta,
Kiske rakhun sar woh nakaamiyan,
Kyun kar gayi humko judaa,

Galatfahmiya,(x9)