Jeene Ka Shauq Lyrics – Salim Sulaiman & Mumbai’s Finest – Jammin

Ye lamha jo kahin,
Paani sa beh gaya,
Jaate jaate yunhi
Dheere se keh gaya,

Jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya,
Jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya,
Jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya, hoo…

Teri saari khwaishein bata,
Kyun hai bezubaan,
Keh de zamaane se abhi,
Apni marziyaan,

Jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya,
Jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya, hoo…

Kyun dil pe ab koi,
Rakhta hai karz tu,
Saansein jitni bhi hain,
Kar de sab kharch tu,

Jeene ka shok hai toh,
Marne ka khauf kya,
Jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya, hoo…

Lambi race ka hoon ghoda,
Main na hafta,
Apna raasta,
Zindagi mein taraqqi ko naapta,
Kya sawaal ba,
Tere sar pe jo sawaar sa,
Tension paal na,
Wata de ghum ko,
Choole ab tu Aasma,

Mumbai ke chokre,
Rok sake to rok le,
Thokre har mod pe,
Ja tu ja todle,

Hum danke ki chot pe,
Full power josh mein,
Jeene ka shauq hai,
Maut ka na khauf hai,

Hum na darte kya bass karte,
Jo aata dil mein haan
Bilkul bhi filmy na,
Par lete maut se lafde kya,
Faltu ka rona nai,
Socha jo karna wahi,
Fukat darte nahi,
Chaar din ki zindagi toh jee le sahi,

Jahan tera saath chhod de,
Saari yaariyan,
Wahan tere kaam aayengi,
Yeh jaabaaziyan,

Jeene ka shok hai toh,
Marne ka khauf kya,
Jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya,

Bhool ja baatein sab purani,
Ab badhani hai kahani,
Ye zindagani hai suhaani,
Kyun ki jeene ka shauq hai toh,
Marne ka khauf kya,