Kacha Ghar Lyrics – Pardhaan – Dhruv G

har kisi ko raja banena hai
kyun ki sevak nahi

aap ki seva mein
aap ka bhai pardhaan

vanchit na reh jaaye padhaai se koi bacha
vanchit na reh jaaye padhaai se koi bacha

har purush har mahila ka aadar karey sacha
har purush har mahila ka aadar karey sacha

ho na buraai har paraani banein acha
ho na buraai har paraani banein acha

duniya mein na ho koi bhi ghar kacha
duniya mein na ho koi bhi ghar kacha
duniya mein na ho koi bhi ghar kacha

sambhaawna shunya par bharosa so parteeshat
majburi se badkar nahi koi musibat
jab sar par nahi chatt paero taley nahi farsh
roz zindagi ke saath lagey na jeenein ki shart
yeh umeed kambhakht aaj tak nahi tooti
meri santooshti kabhi mujhse nahi roothi
kabhi nahi chutti li kaam ko maana seva
mere prabhu se meri chaahat zra bhi nahi jhoothi
sach mein meri praathmikta kuch aur hai
mann ko rakhun shaant dharti pe kaafi shor hai
bhai ke bator pe raksha karun har naari ki
woh saala pitega jiskey mann mein chor hai
jo dil ke kathor hai unhey galey lga lo
jinsey ho roothey unhey khud mnna lo
kisi bhi sarkaar ke bharosey na rehna
jahaan dikhey mauka zimeinwaari utha lo

vanchit na reh jaaye padhaai se koi bacha
vanchit na reh jaaye padhaai se koi bacha

har purush har mahila ka aadar karey sacha
har purush har mahila ka aadar karey sacha

ho na buraai har paraani banein acha
ho na buraai har paraani banein acha

duniya mein na ho koi bhi ghar kacha
duniya mein na ho koi bhi ghar kacha
duniya mein na ho koi bhi ghar kacha

sab se pehle zaruri pariwaar ki suraksha
phir uplabhd ho har baalak ko shiksha aur kaksha
uskey baad bhagat singh jaisa banenein ko kaha jaaye
jinki wajeh aazaad bharat ka naksha
aur hum desh par zra dhayaan na detey
phone haathon mein le ke rehtein hain laetein
woh kya samajhenge paet ki bhookh ko
jihno ney uthaayi nahi kabhi apni jhoothi palatein
khushiyaan baanton duniya mein bohat gham hai
har insaan dhokebaaz aap ka bharam hai
jo aatankwaad ko samarthan de abhi tak
aisa koi bhi nahi bna dharam hai
mujrim toh woh hain jo humein baant rahein hain
dartein hain hum tabhi yeh kuttey kaat rahein hain
bus yeh baat yaad rakhna hindu muslim sikh isaayi
bhai bhai sda saath rahein hain

vanchit na reh jaaye padhaai se koi bacha
vanchit na reh jaaye padhaai se koi bacha

har purush har mahila ka aadar karey sacha
har purush har mahila ka aadar karey sacha

ho na buraai har paraani banein acha
ho na buraai har paraani banein acha

duniya mein na ho koi bhi ghar kacha
duniya mein na ho koi bhi ghar kacha
duniya mein na ho koi bhi ghar kacha

har kisi ko raja banena hai
kyun kisi ko sevak nahi

sevak nahi

majdoor majboor hai logo ke makaan banaanein ko
par khud beyghar sabhi