Khali Haath Shaam Aayee Hai Lyrics – Ijaazat

Khali haath shaam aayi hai
O khali haath shaam aayi hai
Khali haath jaayegi
Khali haath shaam aayi hai
Aaj bhi na aaya koi
Aaj bhi na aaya koi
Khali laut jaayegi
Khali haath shaam aayi hai
Khali haath jaayegi
Khali haath shaam aayi hai

Aaj bhi na aaye aansoo
Aaj bhi na bheege naina
Aaj bhi na aaye aansoo
Aaj bhi na bheege naina
Aaj bhi yeh kori raina
Aaj bhi yeh kori raina
Kori laut jaayegi
Khali haath shaam aayi hai
Khali haath jaayegi
Khali haath shaam aayi hai

Raat ki siyahi koi
Paye to mitaye na
Raat ki siyahi koi
Paye to mitaye na
Aaj na mitayi to yeh
Aaj na mitayi to yeh
Kal bhi laut aayegi
Khali haath shaam aayi hai
Khali haath jaayegi

Khali haath shaam aayi hai
Aaj bhi na aaya koi
Aaj bhi na aaya koi
Khali laut jaayegi
Khali haath shaam aayi hai
Khali haath jaayegi
Khali haath shaam aayi hai