Paani Lyrics – Gaurav Dagaonkar

Sookhe sukhe gaon hain,
Sookhi si ab chhaon hai,
Sookhi maati sookha hai ab hal,
Sookhe sapne sookha hai ab kal,

Itni si ye kahani hai,
Banjar ye zindgani hai,
Bas ankhon mein ab paani hai,
Bas ankhon mein ab paani hai..pani hai,

Bharta jo thali hamari,
Kyun woh bhukha hai,
Kab hue khali ye dil,
Kyun des chookha hai,

Bharta jo thali hamari,
Kyun woh bhukha hai,
Kab hue khali ye dil,
Kyun des chookha hai,

Laal fittashahi hai,
Le chuki sab seyahi hai,
Bas jaan hi ab jani hai,
Bas ankhon mein ab paani hai..pani hai,