Paas Baitho Na Lyrics – Ram CV

Tumne de di wajah jeene ki
Mujhko ek nayi jab se
Bade hi dil se dil ki
Dhadkane kahne lagi tab se

Na jaana ek bhi pal ke liye
Tum door ab mujhse
Duwayein kar ke sau-sau
Maine paaya hai tumhe rab se

Ishq ki tumpe thodi si
Mujhe barsaat karni hai

Paas baitho na zara
Ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai

Paas baitho na zara
Ek baat karni hai

Tum wo dariya ho
Main jiski pyaas rakhta hu
Khud ko aaj kal main
Tumhare paas rakhta hu

Iss jahan mein na
Kahin bhi ab mujhe rehna
Dil mein main tumhare
Jagah ek khaas rakhta hu

Saath ab toh tumhare hi
Mujhe har saans bharni hai

Paas baitho na zara
Ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai

Baahon mein tum ho
Toh har lamha ruhaani hai
Khwaishon ka bhi
Hua rang aasmaani hai

Chahaton ki jo guzarish hai
Zara sun lo
Umrr saari yeh tumhare sang
Bitaani hai

Khatam jo na kabhi ho
Aisi ek shuruvat karni hai

Paas baitho na zara
Ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai

Paas baitho na zara
Ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai.