Saanson Ke Lyrics – KK – Raees

Saanson ke kisi ek mod par,
Mili thi tu zindagi,
Meri dost ban ke,

Chal diya teri baat maan kar,
Tera hath thaam kar,
Tujhe saathi chun ke,

Main kis manzil ka raahi hoon,
Tu kin raahon pe layi hai,
Samajh paun na main tujhko
Na tu mujhko,

Jo namanzoor hai mujhko,
Wohi manzoor hai tujhko,
Samajh paun na main tujhko,
Na tu mujhko,

Jo le liya tha tune faisla,
Zameen pe aasma mein rakh diya,
Main chhaon mein lapete,
Dhoop ko,
Kaha jo tune kehna kar diya,

Chala main apni manzil ko,
Ja tu bhi laut ja ghar ko,
Samajh paun na main tujhko,
Na tu mujhko,

Jo namanzoor hai mujhko,
Wohi manzoor hai tujhko,
Samajh paun na main tujhko,
Na tu mujhko,

Aa….,