Sarsariya Lyrics – AR Rahman – Mohenjo Daro

Ye sarsraati hawa,
Jaaye chaaron disha,
Aise hi mukat mann mera bhi ho gaya,

Ye hawa,
Sarsariya,
Sarsariya,

Kyu na lehrake main bhi,
Disha disha nagar nagar jaun,

Khila khila sa jo,
Mera ye mann hai,
Khila khila sa jo,
Mera ye tann hai,

Jo rang rang hai,
Mere sapne,
To sab rang hi,
Laage apne,

Jo rutt koi chhayi,
Toh chha jaane de,
Jo aayi angdaai,
Toh aa jaane de,

Hawayein jo batayein,
Wohi maan le,
Tu mann ki satrangi hai,
Ye jaan le,

Ye sarsraati hawa,
Jaaye chaaron disha,
Aise hi mukat mann mera bhi ho gaya,

Ye hawa,
Sarsariya, sarsariya,

Kyu na lehrake main bhi,
Disha disha nagar nagar jaaun,

Laage ke abhi tu,
Hai anjaani,
Jagat mein jitna,
Bhi hai paani,

Hai prem utna,
Mere mann mein,
Tu hi toh basi hai,
Mere jeevan mein,

Teri baani mere mann mein samaati toh hai,
Teri baat mujhe sapne dikhati toh hai,
Tujhe jo dekhu badhti ye dhadkan toh hai,
Huyi meethi meethi si mann mein uljhan toh hai,

Ye sarsraati hawa,
Jaaye chaaron disha,
Aise hi mukat mann mera bhi ho gaya,

Ye hawa,
Sarsariya,
Sarsariya,

Kyu na lehrake main bhi,
Disha disha nagar nagar jaaun,

Sarsariya,