Wafa Jo Na Ki Toh Lyrics – Hemlata – Rekha – Amitabh Bachchan – Muqaddar Ka Sikandar

manjur nahi meri mohabbat to kya huwa ye dost
dushmani nibhane ke liye aa
mana tere karam ke to kabil nahi rahe
aa mere dil pe julm hi dhane ke liye aa
wafa jo na ki to jafa bhi na kije
wafa jo na ki to jafa bhi na kije
sitam janeman is tarah bhi na kije
ke marne ki tamnna me kahi ji na jaye
ke marne ki tamnna me kahi ji na jaye
wafa

nahi ishk hamse nahi na sahi
hame ishk tumse to hum kya kare
haye mar mar ke jine ki adat hame
tumhari bala se jiye na mare
bhala, bhala na kiya to bura bhi na kije
sitam janeman is tarah bhi na kije
ke marne ki tamnna me kahi ji na jaye
ke marne ki tamnna me kahi ji na jaye
wafa, wafa jo na ki to jafa bhi na kije
sitam janeman is tarah bhi na kije
ke marne ki tamnna me kahi ji na jaye
ke marne ki tamnna me kahi ji na jaye
wafa