Waqt Se Din Aur Raat Lyrics – Waqt

khal yahaan, basti thi khusiyaan, aaj hai, maatum bahaar,
waqt laaya tha, bahaaren, waqt laaya hai kiza.

waqt se, din aur raat, waqt se, kal aur aaj,
waqt kii, har shai Gulaam, waqt kaa, har shai pe raaj…….2

waqt kii, ghardishthe hai.n,
chaand sitaaro.n ka nizam,……2
waqt kii, tokar mei.n hai.n,
kya hukumath,kya samaj,
kya hukumath,kya samaj,

waqt se, din aur raat, waqt se, kal aur aaj,
waqt kii, har shai Gulaam, waqt kaa, har shai pe raaj.

waqt kii, paaband hai.n,
aatee jaate, raunake,……………2
waqt hai, phuulo.n kii sej,
waqt hai, kaa.NTo.n kaa taaj,
waqt hai, kaa.NTo.n kaa taaj,

waqt se, din aur raat, waqt se, kal aur aaj,
waqt kii, har shai Gulaam, waqt kaa, har shai pe raaj.

aadamii ko, chaahiye,
waqt se, Dar kar rahe,…………2
kaun jaane, kis gha.Dii,
waqt kaa, badale mijaaz,
waqt kaa, badale mijaaz,

waqt se, din aur raat, waqt se, kal aur aaj,
waqt kii, har shai Gulaam, waqt kaa, har shai pe raaj