Woh Na Ayenge Paltkar Lyrics – Devdas (1955)

wo na aayenge palat kar unhe lakh ham bulaye

meri hasrato se keh do ki ye khwab bhul jaye

agar is jaha ka malik kahi mil sake to puchhe
mili kaun si khata par hame is kadar sajaye
mili kaun si khata par hame is kadar sajaye
wo na aayenge palat kar unhe lakh ham bulaye

teri berukhi ke sadke
teri berukhi ke sadke meri jindagi ki khushiya
tu agar isi me khush hai to khushi se kar jafaye