Ye Jo Halka Halka Suroor Hai Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Yeh jo halka halka suroor hai,
Tere ishq ka hi fitoor hai,
Maine jo likha tha mita diya,
Aur tujhko apna khuda kiya,

Yeh jo halka halka suroor hai,
Tune kuch kiya toh zaroor hai,
Jis din se tu hai dikha piya,
Maine saans lena bhula diya,

Jism se rooh ka,
Ek safar ho tum,
Aakhri saans mein,
Ek umar ho tum,

Duniya ki bheed mein,
Mujhko bas tu dikhe,
Kya main tumko dikhun,
Kaho na tum,

Yeh jo halka halka suroor hai,
Kuch ishq sa toh zaroor hai,
Maine jag mein sona bhula diya,
Mujhe kya se kya hai bana diya,

Tu mere khoon mein,
Beh raha hai kahin,
Tu mere khaab mein,
Jag raha hai kahin,

Meri har baat mein,
Bas tera zikr hai,
Kuch mere baare mein,
Kaho na tum,

Yeh jo halka halka suroor hai,
Tere ishq ka hi fitoor hai,
Maine jo likha tha mita diya,
Aur tujhko apna khuda kiya,

Kisi na kiya hai,
Jaisa ishq tera mera,
Main daudta aata hoon,
Koi naam le jo tera,

Kisi na kiya hai,
Jaisa ishq tera mera,
Mere ghumo ki raat ka,
Tu ujjla savera,(x2)

Rehne do na nashe mein,
Tum phero na nazar,
Halka ka sa hi aaya hai,
Abhi chahat ka asar,

Kisi na kiya hai,
Jaisa ishq tera mera,
Main daudta aata hoon,
Koi naam le jo tera,

Kisi na kiya hai,
Jaisa ishq tera mera,
Mere ghumo ki raat ka,
Tu ujjla savera,

Yeh jo halka halka suroor hai,
Tune kuch kiya toh zaroor hai,
Yeh jo halka halka suroor hai..,