Ab Ke Baras Lyrics – Kranti

Ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras teri pyaason mein paani bhar denge
Ab ke baras teri choonar ko dhaani kar denge
Ab ke baras

Yeh duniya to faani hai, behta sa paani hai
Tere hawale yeh zindgaani
Yeh zindgaani kar denge ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras
Dharti ki rani

Duniya ki saari daulat se izzat apni pyari
Mutthi mein kismat hai apni
Humko mehnat pyari
Mitti ki keemat ka jag mein koiratan nahi hai
Zillat ke jeevan se badtar koi kafan nahi hai
Desh ka har deewana apne praan cheer kar bola
Balidano ke khoon se apna rang lo basanti chola
Ab ke humne jaani hai
Sabne man mein thaani hai
Hamlawaron ki khatam kahani
Khatam kahani kar denge ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras

Sukh sapnon ke sath hazaron
Dukh bhi toone jhele
Hansi khushi se bheege Phagun
Ab tak kabhi na khele
Chaaron or hamare bikhre baroodi afsane
Jalti jaati shamma, jalte jaate hain parwane
Phir bhi hum zinda hain apne balidano ke bal par
Har shaheed farmaan de gaya
Seema par jal jal kar
Yaaron toot bhale hi jaana lekin kabhi na jhukna
Kadam kadam par maut milegi
Phir bhi tum na rukna
Bohat seh liya ab na sahenge
Seene bhadak uthe hain
Nas nas mein bijli jaagi hai
Baazu phadak uthe hain
Singhasan ki khair karo zulmon ke thekedaron
Desh ke bete jaag uthe tum apni maut nihaaro
Angaaron ka jashan manega har shola jaagega
Balidano ki is dharti se har dushman bhagega
Humne kasam nibhani hai, deni har kurbani hai
Humne kasam nibhani hai, deni har kurbani hai
Apne saron ki, apne saron ki
Antim nishani dhar denge ab ke baras