Gumnaam Hai Koi Lyrics – Gumnaam

gumnaam hain koyi, badnaam hain koyi
kisko khabar kaun hain woh, anjan hain koyi

gumnaam hain koyi

kisko samajhe ham apna kal ka naam hain ek sapna

aaj agar tum jinda ho toh kal ke liye
kal ke liye mala japna
gumnaam hain koyi, badnaam hain koyi
kisko khabar kaun hain woh, anjan hain koyi
gumnaam hain koyi

pal do pal ki masti hai bas do din ki basti hain

chain yaha par mahanga hain aur maut yaha
maut yaha par sasti hain
gumnaam hain koyi, badnaam hain koyi
kisko khabar kaun hain woh, anjan hain koyi
gumnaam hain koyi

kaun bala tufani hain maut ko khud hairani hain

aaye sada wirano se jo paida huwa
paida huwa woh pani hain