Kyon Hawa Song Lyrics – Veer-Zaara

Ek Din Jab Savere Savere
Surmayee Se Andher Ki Chaadar Hataa Ke
Ek Parbat Ke Takiye Se
Sooraj Ne Sar Jo Uthaayaa To Dekhaa
Dil Ki Waadi Mein Chaahat Kaa Mausam Hai
Aur Yaadon Ki Daaliyon Par
Anginat Beete Lamhon Ki Kaliyaan Mahakne Lagi Hain
Ankahi Ansuni Aarzoo
Aadhi Soyee Huyee Aadhi Jaagi Huyee
Aankhein Maltey Huey Dekhti Hai
Lahar Dar Lahar, Mauj Dar Mauj Bahti Huyee Zindagi
Jaise Har Ek Pal Nayee Hai
Aur Phir Bhi Wahi Hai
Haan Wahi Zindagi
Jiske Daaman Mein Koi Mohabbat Bhi Hai
Koi Hasrat Bhi Hai
Paas Aanaa Bhi Hai
Door Jaanaa Bhi Hai
Aur Yeh Ahsaas Hai
Waqt Jharne Saa Bahtaa Huaa Jaa Rahaa Hai Ye Kahtaa Huaa
Dil Ki Waadi Mein Chaahat Kaa Mausam Hai
Aur Yaadon Ki Daaliyon Par
Anginat Beete Lamahon Ki Kaliyaan Mahakne Lagi Hain

Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai
Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai
Kyon Fiza Rang Chhalka Rahi Hai
Mere Dil Bata Aaj Hona Hai Kya
Chandni Din Mein Kyun Chha Rahi Hai
Zindagi Kis Taraf Ja Rahi Hai
Mere Dil Bata Kya Hai Ye Silsila
Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai
Ga Rahi Hai, Ga Rahi Hai

Jahan Tak Bhi Jayein Nigahein
Baraste Hain Jaise Ujale
Jahan Tak Bhi Jayein Nigahein
Baraste Hain Jaise Ujale
Saji Aaj Kyun Hain Ye Raahein
Khile Phool Kyun Hain Nirale
Khushbooein Kaisi Ye Bah Rahi Hain
Dhadkanein Jane Kya Kah Rahi Hai
Mere Dil Bata Ye Kahani Hai Kya
Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai
Ga Rahi Hai, Ga Rahi Hai

Yeh Kiska Hai Chehra Jise Main
Har Ek Phool Mein Dekhta Hoon
Yeh Kiska Hai Chehra Jise Main
Har Ek Phool Mein Dekhta Hoon
Yeh Kiski Hai Aawaz Jisko
Na Sun Ke Bhi Main Sun Raha Hoon
Kaisi Ye Aahtein Aa Rahi Hain
Kaise Ye Khwab Dikhla Rahi Hain
Mere Dil Bata Kaun Hai Aa Raha
Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai
Ga Rahi Hai, Ga Rahi Hai