Reshmi Salwar Kurta Lyrics – Naya Daur

reshami salwar kurta jaali ka
rup saha nahi jaaye nakhre waali ka, hoy
reshami salwar kurta jaali ka
rup saha nahi jaaye nakhre waali ka, hoy
jaa re pichha chhod mujh matwaali ka
kahe dhundhe raasta kotwaali ka
jaa re pichha chhod mujh matwaali ka
kahe dhundhe raasta kotwaali ka

jab jab tujhko dekhu mere dil me chhute phuljhadiya
karunga tera pichha chaahe lag jaaye hathkadiya
are karunga tera pichha chaahe lag jaaye hathkadiya
kya hai kotwaali ka
rup saha nahi jaaye nakhre waali ka, hoy
jaa re pichha chhod mujh matwaali ka
kahe dhundhe raasta kotwaali ka

mai hu izzat waali mujhe samajh na aisi vaisi
bade bado ki maine kar di hai aisi taisi
bade bado ki maine kar di hai aisi taisi
tu hai kis thaali ka
kahe dhundhe raasta kotwaali ka
reshami salwar kurta jaali ka
rup saha nahi jaaye nakhre waali ka, hoy

rup tere kaalat ka mere dil ko de gaya jhatka
rang bhare haatho se zara khol de pat ghunghat ka
hay rang bhare haatho se zara khol de pat ghunghat ka
dil hai dilwaali ka
rup saha nahi jaaye nakhre waali ka, hoy
jaa re pichha chhod mujh matwaali ka
kahe dhundhe raasta kotwaali ka
reshami salwar kurta jaali ka
rup saha nahi jaaye nakhre waali ka, hoy